Ashk Aankhon Mein Liye AaThon Pahar Dekhega Kaun

ashk aankhon mein liye aaThon pahar dekhega kaun

hum nahin honge to teri rahguzar dekhega kaun

shama bhi bujh jaegi parwana bhi jal jaega

raat ke donon musafir hain shajar dekhega kaun

sone aur chandi ke bartan ki numaish hai yahan

main hun kuza-gar mera dast-e-hunar dekhega kaun

jis qadar Duba hua hun KHud main apne KHun mein

KHud ko apne KHun mein yun tar-ba-tar dekhega kaun

har taraf maqtal mein hai chhai hui viraniyan

neza-e-baatil pe aaKHir mera sar dekhega kaun

mere zahir par nigahen sab ki hain 'afzal' magar

mere andar jo chhupa hai wo guhar dekhega kaun

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ashk Aankhon Mein Liye AaThon Pahar Dekhega Kaun In English By Famous Poet Afzal Allahabadi. Ashk Aankhon Mein Liye AaThon Pahar Dekhega Kaun is written by Afzal Allahabadi. Read famous Poem Ashk Aankhon Mein Liye AaThon Pahar Dekhega Kaun for youth and Student by Afzal Allahabadi. Free Download Ashk Aankhon Mein Liye AaThon Pahar Dekhega Kaun in PDF.