Bulandi Se Kabhi Wo Aashnai Kar Nahin Sakta

bulandi se kabhi wo aashnai kar nahin sakta

jo tere aastane ki gadai kar nahin sakta

zaban rakhte hue bhi lab-kushai kar nahin sakta

koi qatra samundar se laDai kar nahin sakta

tu jugnu hai faqat raaton ke daman mein basera kar

main suraj hun tu mujh se aashnai kar nahin sakta

KHudi ki daulat-e-uzma KHuda ne mujh ko baKHshi hai

qalandar hun main shahon ki gadai kar nahin sakta

sifat firaun ki tujh mein hai main musa ka hami hun

kabhi taslim main teri KHudai kar nahin sakta

jo zindan mein aziyyat par aziyyat mujh ko deta hai

main us zalim se ummid-e-rihai kar nahin sakta

jo kamtar hai baDai apni apne munh se karta hai

magar 'afzal' kabhi apni baDai kar nahin sakta

(998) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bulandi Se Kabhi Wo Aashnai Kar Nahin Sakta In English By Famous Poet Afzal Allahabadi. Bulandi Se Kabhi Wo Aashnai Kar Nahin Sakta is written by Afzal Allahabadi. Read famous Poem Bulandi Se Kabhi Wo Aashnai Kar Nahin Sakta for youth and Student by Afzal Allahabadi. Free Download Bulandi Se Kabhi Wo Aashnai Kar Nahin Sakta in PDF.