Dawa-e-dard-e-gham-o-iztirab Kya Deta

dawa-e-dard-e-gham-o-iztirab kya deta

wo meri aankhon ko rangin KHwab kya deta

thi meri aankhon ki qismat mein tishnagi likkhi

wo apni did ki mujh ko sharab kya deta

kiya sawal jo main ne wafa ke qatil se

zaban pe qufl laga tha jawab kya deta

main chahta tha ki us ko gulab pesh karun

wo KHud gulab tha us ko gulab kya deta

wo jis ne dekha nahin ishq ka kabhi maktab

main us ke hath mein dil ki kitab kya deta

mere nasib mein miTTi ka ek diya bhi na tha

teri hatheli pe main aaftab kya deta

main us se pyas ka shikwa na kar saka 'afzal'

jo KHud hi tishna tha wo mujh ko aab kya deta

(847) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dawa-e-dard-e-gham-o-iztirab Kya Deta In English By Famous Poet Afzal Allahabadi. Dawa-e-dard-e-gham-o-iztirab Kya Deta is written by Afzal Allahabadi. Read famous Poem Dawa-e-dard-e-gham-o-iztirab Kya Deta for youth and Student by Afzal Allahabadi. Free Download Dawa-e-dard-e-gham-o-iztirab Kya Deta in PDF.