Ghamon Ki Dhup Mein Milte Hain Saeban Ban Kar

ghamon ki dhup mein milte hain saeban ban kar

zamin pe rahte hain kuchh log aasman ban kar

uDe hain jo tere qadmon se KHak ke zarre

chamak rahe hain falak par wo kahkashan ban kar

jinhen nasib hui hai tere badan ki nasim

mahak rahe hain zamin par wo gulsitan ban kar

mein iztirab ke aalam mein raqs karta raha

kabhi ghubar ki surat kabhi dhuan ban kar

meri sadaon ko ab to panah mil jae

tujhe pukar raha hun teri zaban ban kar

main is zamin ki wusat pe sair karta hun

falak ke chand sitaron ka raaz-dan ban kar

masarraton ki faza mein sada wo rahte hain

jo gham ke maron se milte hain mehrban ban kar

unhin ko shan-e-chaman ye zamana kahta hai

chaman ko luT rahe hain jo baghban ban kar

main harf harf jise paDh chuka hun ai 'afzal'

waraq waraq pe wo bikhra hai dastan ban kar

(808) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghamon Ki Dhup Mein Milte Hain Saeban Ban Kar In English By Famous Poet Afzal Allahabadi. Ghamon Ki Dhup Mein Milte Hain Saeban Ban Kar is written by Afzal Allahabadi. Read famous Poem Ghamon Ki Dhup Mein Milte Hain Saeban Ban Kar for youth and Student by Afzal Allahabadi. Free Download Ghamon Ki Dhup Mein Milte Hain Saeban Ban Kar in PDF.