Ghazal Ka Husn Hai Aur Git Ka Shabab Hai Wo

ghazal ka husn hai aur git ka shabab hai wo

nasha hai jis mein suKHan ka wahi sharab hai wo

use na dekh mahakta hua gulab hai wo

na jaane kitni nigahon ka intiKHab hai wo

misal mil na saki kaenat mein us ki

jawab us ka nahin koi la-jawab hai wo

meri in aankhon ko tabir mil nahin pati

jise main dekhta rahta hun aisa KHwab hai wo

na jaane kitne hijabon mein wo chhupa hai magar

nigah-e-dil se jo dekhun to be-hijab hai wo

ujale apne luTa kar wo Dub jaega

hasin subh ka raKHshanda aaftab hai wo

wo mujh se puchhne aaya hai mera haal 'afzal'

jise bata na sakun dil mein iztirab hai wo

(845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghazal Ka Husn Hai Aur Git Ka Shabab Hai Wo In English By Famous Poet Afzal Allahabadi. Ghazal Ka Husn Hai Aur Git Ka Shabab Hai Wo is written by Afzal Allahabadi. Read famous Poem Ghazal Ka Husn Hai Aur Git Ka Shabab Hai Wo for youth and Student by Afzal Allahabadi. Free Download Ghazal Ka Husn Hai Aur Git Ka Shabab Hai Wo in PDF.