Har Naghma-e-pur-dard Har Ek Saz Se Pahle

har naghma-e-pur-dard har ek saz se pahle

hangama bapa hota hai aaghaz se pahle

dil dard-e-mohabbat se to waqif bhi nahin tha

jaanan tere baKHshe hue eazaz se pahle

shoalon pe chalati hai mohabbat dil-e-nadan

anjam zara soch le aaghaz se pahle

ab meri tabahi ka use gham bhi nahin hai

jis ne mujhe chaha tha baDe naz se pahle

shahin wo kahlane ka haqdar nahin hai

jo su-e-falak dekhe na parwaz se pahle

ab raaz ki baaten na bata de wo kisi se

ye KHauf nahin tha kabhi hamraaz se pahle

thi mir-taqi-'mir' ki nauhagari mashhur

'afzal' ki sisakti hui aawaz se pahle

(749) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Naghma-e-pur-dard Har Ek Saz Se Pahle In English By Famous Poet Afzal Allahabadi. Har Naghma-e-pur-dard Har Ek Saz Se Pahle is written by Afzal Allahabadi. Read famous Poem Har Naghma-e-pur-dard Har Ek Saz Se Pahle for youth and Student by Afzal Allahabadi. Free Download Har Naghma-e-pur-dard Har Ek Saz Se Pahle in PDF.