Jo Meri Aarzu Nahin Karta

jo meri aarzu nahin karta

us ki main justuju nahin karta

hijr-e-jaanan mein apne ashkon se

kaun hai jo wuzu nahin karta

wo to tera kalim tha warna

sab se tu guftugu nahin karta

sayyad-ul-ambiya the wo warna

sab ko tu ru-ba-ru nahin karta

teri nisbat mili mujhe jab se

main koi aarzu nahin karta

har ghaDi jis ki baat karta hun

mujh se wo guftugu nahin karta

dar-ba-dar yun nahin bhaTakta main

jo faramosh tu nahin karta

ho nahin pati shairi 'afzal'

nazr jab tak lahu nahin karta

(694) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Meri Aarzu Nahin Karta In English By Famous Poet Afzal Allahabadi. Jo Meri Aarzu Nahin Karta is written by Afzal Allahabadi. Read famous Poem Jo Meri Aarzu Nahin Karta for youth and Student by Afzal Allahabadi. Free Download Jo Meri Aarzu Nahin Karta in PDF.