Ye Haqiqat Hai Wo Kamzor Hua Karti Hain

ye haqiqat hai wo kamzor hua karti hain

apni taqdir ka qaumen jo gila karti hain

ret par jab bhi banata hai gharaunda koi

sar-phiri maujen use dekh liya karti hain

main gulistan ki hifazat ki dua karta hun

bijliyan mere nasheman pe gira karti hain

jaane kya wasf nazar aata hai mujh mein un ko

titliyan mere taaqub mein raha karti hain

teri dahliz se nisbat jise ho jati hai

azmaten us ke muqaddar mein hua karti hain

kyun na gul-buTon ke chehron pe nikhaar aa jae

ye hawaen jo tera zikr kiya karti hain

apni nazron mein jo rakhta hai tere naqsh-e-qadam

manzilen us ke taaqub mein raha karti hain

chain ki nind mujhe aae to kaise aae

meri aankhen jo tera KHwab buna karti hain

us ki rahmat ke diye jo bhi hain raushan 'afzal'

aandhiyan un ki hifazat mein raha karti hain

(740) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Haqiqat Hai Wo Kamzor Hua Karti Hain In English By Famous Poet Afzal Allahabadi. Ye Haqiqat Hai Wo Kamzor Hua Karti Hain is written by Afzal Allahabadi. Read famous Poem Ye Haqiqat Hai Wo Kamzor Hua Karti Hain for youth and Student by Afzal Allahabadi. Free Download Ye Haqiqat Hai Wo Kamzor Hua Karti Hain in PDF.