Guzre Talluqat Ka Ab Wasta Na De

guzre talluqat ka ab wasta na de

gum ho chuki kitab jo us ka pata na de

ab tazkire na chheD mere ahad-e-shauq ke

jo bujh gai hai aag use phir hawa na de

kuchh is qadar fareb sahaaron se khae hain

main gir paDunga KHauf se tu aasra na de

jis ki jabin-e-shauq pe likkha tha mera nam

ab dur ja basa hai tu shayad bhula na de

shoala jo maujzan hai mohabbat ka dil mein aaj

Dar hai ki sarsar-e-gham-e-dauran bujha na de

go chal paDa hun dil se magar chahta hun ye

uTh kar mujhe wo rok le aur rasta na de

KHali na koi daulat-e-iKHlas se rahe

'alwi' kisi ko bhul ke ye bad-dua na de

(715) Peoples Rate This

Afzal Alvi's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Guzre Talluqat Ka Ab Wasta Na De In English By Famous Poet Afzal Alvi. Guzre Talluqat Ka Ab Wasta Na De is written by Afzal Alvi. Read famous Poem Guzre Talluqat Ka Ab Wasta Na De for youth and Student by Afzal Alvi. Free Download Guzre Talluqat Ka Ab Wasta Na De in PDF.