Aai Thi Us Taraf Jo Hawa Kaun Le Gaya

aai thi us taraf jo hawa kaun le gaya

KHali paDa hai taq diya kaun le gaya

is shahr mein to koi sulaiman bhi nahin

main kya bataun taKHt-e-saba kaun le gaya

dushman aqab mein aa bhi gaya aur abhi talak

tum ko KHabar nahin hai asa kaun le gaya

apne badan se lipTa hua aadmi tha main

mujh se chhuDa ke mujh ko bata kaun le gaya

'gauhar' ye majra to parindon se puchhna

peDon ko kya pata hai hawa kaun le gaya

(647) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aai Thi Us Taraf Jo Hawa Kaun Le Gaya In English By Famous Poet Afzal Gauhar Rao. Aai Thi Us Taraf Jo Hawa Kaun Le Gaya is written by Afzal Gauhar Rao. Read famous Poem Aai Thi Us Taraf Jo Hawa Kaun Le Gaya for youth and Student by Afzal Gauhar Rao. Free Download Aai Thi Us Taraf Jo Hawa Kaun Le Gaya in PDF.