Aaj Hi Fursat Se Kal Ka Masala ChheDunga Main

aaj hi fursat se kal ka masala chheDunga main

masala hal ho to hal ka masala chheDunga main

wasl o hijran mein tanasub rast hona chahiye

ishq ke radd-e-amal ka masala chheDunga main

dekhna sab log mujh ko KHarji Thahraenge

kal yahan jang-e-jamal ka masala chheDunga main

kashtiyon wale mujhe tawan de kar par jaen

warna lahron mein KHalal ka masala chheDunga main

mil hi jaenge kahin to mujh ko 'bedil-haidari'

kuza-gar wali ghazal ka masala chheDunga main

is shajar ki ek Tahni parle aangan mein bhi hai

apne ham-sae se phal ka masala chheDunga main

(736) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Hi Fursat Se Kal Ka Masala ChheDunga Main In English By Famous Poet Afzal Khan. Aaj Hi Fursat Se Kal Ka Masala ChheDunga Main is written by Afzal Khan. Read famous Poem Aaj Hi Fursat Se Kal Ka Masala ChheDunga Main for youth and Student by Afzal Khan. Free Download Aaj Hi Fursat Se Kal Ka Masala ChheDunga Main in PDF.