Hamare KHun Ke Pyase Pashemani Se Mar Jaen

hamare KHun ke pyase pashemani se mar jaen

agar hum ek din apni hi nadani se mar jaen

aziyyat se janam leti suhulat ras aati hai

koi aisi paDe mushkil ki aasani se mar jaen

adhuri si nazar kafi hai us aaina-dari par

agar hum ghaur se dekhen to hairani se mar jaen

bana rakkhi hain diwaron pe taswiren parindon ki

wagarna hum to apne ghar ki virani se mar jaen

agar wahshat ka ye aalam raha to ain-mumkin hai

sukun se jite jite bhi pareshani se mar jaen

kahin aisa na ho yarab ki ye tarse hue aabid

teri jannat mein ashya ki farawani se mar jaen

(1483) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamare KHun Ke Pyase Pashemani Se Mar Jaen In English By Famous Poet Afzal Khan. Hamare KHun Ke Pyase Pashemani Se Mar Jaen is written by Afzal Khan. Read famous Poem Hamare KHun Ke Pyase Pashemani Se Mar Jaen for youth and Student by Afzal Khan. Free Download Hamare KHun Ke Pyase Pashemani Se Mar Jaen in PDF.