Jo ShaKHs Bhi Mila Hai Wo Ek Zinda Lash Hai

jo shaKHs bhi mila hai wo ek zinda lash hai

insan ki dastan baDi dil-KHarash hai

daman darida qalb-o-nazar zaKHm zaKHm hain

ab shahr-e-arzu mein yahi bud-o-bash hai

bas ab to rah gai hai dikhawe ki zindagi

sanson ke tar tar mein ek irtiash hai

miTTi ne pi liya hai hararat bhara lahu

josh-e-numu mila to badan qash qash hai

kanTon ne bhi KHizan ki ghulami qubul ki

dekho to aaj chehra-e-gul pur-KHarash hai

wo daur ab kahan ki tumhaari ho justuju

is daur mein to hum ko KHud apni talash hai

'afzal' wo ban sanwar ke to aa jaenge kabhi

aaina-e-hayat magar pash pash hai

(1499) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo ShaKHs Bhi Mila Hai Wo Ek Zinda Lash Hai In English By Famous Poet Afzal Minhas. Jo ShaKHs Bhi Mila Hai Wo Ek Zinda Lash Hai is written by Afzal Minhas. Read famous Poem Jo ShaKHs Bhi Mila Hai Wo Ek Zinda Lash Hai for youth and Student by Afzal Minhas. Free Download Jo ShaKHs Bhi Mila Hai Wo Ek Zinda Lash Hai in PDF.