Aanchal Mein Nazar Aati Hain Kuchh Aur Si Aankhen

aanchal mein nazar aati hain kuchh aur si aankhen

chha jati hain ehsas pe billor si aankhen

rahti hai shab-o-roz mein barish si teri yaad

KHwabon mein utar jati hain ghanghor si aankhen

paimane se paimane talak baada-e-lalin

aaghaz se anjam talak daur si aankhen

le kar kahan rahti rahi moti si wo surat

le kar kahan phirta raha mein gor si aankhen

waqt aane pe aai na nazar gardish-e-aflak

baiTha raha le kar main kisi aur si aankhen

tabdili tere dekhte rahne se ye aai

bin baiThin tasalsul se tere tur si aankhen

bil-farz nikal jaun kisi andhe safar par

bandhe hue rakhti hain mujhe Dor si aankhen

har bar kinare se laga kar chali jaen

dhundlahaTon mein ghamza-e-filfaur si aankhen

kya jaane 'nawed' aur hi kar jaen ujala

qirtas-e-farozan pe teri kor si aankhen

(751) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aanchal Mein Nazar Aati Hain Kuchh Aur Si Aankhen In English By Famous Poet Afzal Naved. Aanchal Mein Nazar Aati Hain Kuchh Aur Si Aankhen is written by Afzal Naved. Read famous Poem Aanchal Mein Nazar Aati Hain Kuchh Aur Si Aankhen for youth and Student by Afzal Naved. Free Download Aanchal Mein Nazar Aati Hain Kuchh Aur Si Aankhen in PDF.