Apne Hi Tale Aai Zaminon Se Nikal Kar

apne hi tale aai zaminon se nikal kar

aa jata hun shaKHon pe dafinon se nikal kar

darwaze the kuchh aur bhi darwaze ke pichhe

barson pe gai baat mahinon se nikal kar

so jati hai basti to makan pichhli gali mein

tanha khaDa rahta hai makinon se nikal kar

kis subh-e-tamasha ka bachaya hua sajda

ruKH par chala aata hai jabinon se nikal kar

aisi koi aasan hai diwangi yaro

aai bhi to aaegi qarinon se nikal kar

wo aur koi abr hai jo khulta nahin hai

sar par jo khaDa rahta hai sinon se nikal kar

muddat se mere raste mein aaya hua hai

patthar sa koi tere naginon se nikal kar

ek rose jo diwar thi wo hum ne gira di

pani mein chale aae safinon se nikal kar

ye dekh mera naKHl-e-kutub-ha-e-daraKHshan

jo phail gaya KHun pasinon se nikal kar

aa jate hain sahil pe dikhane hamein munh log

tariki mein Dube hue zinon se nikal kar

ek den hai hum jaison ki aashufta-sari ko

tham rahta hai aafaq pe dinon se nikal kar

zerin kahin rahti hai tapasya se bhari lahr

budh aur hai andoh-nashinon se nikal kar

mismar ajaib jo hua jang-o-jadal se

miTTi ke zaruf aa gae minon se nikal kar

hamrah asason ki kahan DhunD sakenge

aaya na agar sanp KHazinon se nikal kar

atraf-e-dar-o-baam hi le baiThenge mujh ko

gar qasd-e-chahaarum na ho tinon se nikal kar

phir samna hoga mera apni hi mashin se

aaya bhi jo bil-farz mashinon se nikal kar

duniya ko piroega 'nawed' ek laDi mein

aaega koi KHak-nashinon se nikal kar

(794) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Hi Tale Aai Zaminon Se Nikal Kar In English By Famous Poet Afzal Naved. Apne Hi Tale Aai Zaminon Se Nikal Kar is written by Afzal Naved. Read famous Poem Apne Hi Tale Aai Zaminon Se Nikal Kar for youth and Student by Afzal Naved. Free Download Apne Hi Tale Aai Zaminon Se Nikal Kar in PDF.