Bagh Kya Kya Shajar Dikhate Hain

bagh kya kya shajar dikhate hain

hum bhi apne samar dikhate hain

aa tujhe be-KHabar dikhate hain

haalat-e-nama-bar dikhate hain

kuchh mazahir hain jo nagar mein hamein

dusra hi nagar dikhate hain

ruh-e-mutlaq mein ishq jazb hua

arsh ka kaam kar dikhate hain

KHud to pahunche hue hain manzil par

panw ko dar-ba-dar dikhate hain

hum ko matlub KHud se jaana hai

wan nahin hain jidhar dikhate hain

kitna phailaw raqs-e-ab mein hai

apne sar se utar dikhate hain

aa dikhate hain tujh ko apna aap

aur dil khol kar dikhate hain

aa karaate hain sair-e-dil tujh ko

aa tujhe bahr-o-bar dikhate hain

jab dikhani ho raunaq-e-raftar

wo yahan se guzar dikhate hain

uThte pani si lahr lene se wo

sar se pa tak kamar dikhate hain

kaun suraj hamari aankhon ko

KHwab-e-sham-o-sahar dikhate hain

rah-e-dushwar jab nahin kaTti

wo koi baat kar dikhate hain

mat uTha ab koi nai diwar

hum tujhe apna sar dikhate hain

chandni kya kahin pe bikhregi

tere dar par bikhar dikhate hain

dekh ek tangi-e-qayamat-KHez

hum tujhe apna ghar dikhate hain

baam-e-aflak se utar hamein

hath par dip dhar dikhate hain

asl ruKH ka nahin hai ushr-e-ashir

jo hamein chaara-gar dikhate hain

kuchh to mazmun bane-banae hain

aur kuchh bandh kar dikhate hain

ghamza-ha-e-pas-e-nazzara 'nawed'

hum ko rah-e-safar dikhate hain

(735) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bagh Kya Kya Shajar Dikhate Hain In English By Famous Poet Afzal Naved. Bagh Kya Kya Shajar Dikhate Hain is written by Afzal Naved. Read famous Poem Bagh Kya Kya Shajar Dikhate Hain for youth and Student by Afzal Naved. Free Download Bagh Kya Kya Shajar Dikhate Hain in PDF.