Jang Se Jangal Bana Jangal Se Main Nikla Nahin

jang se jangal bana jangal se main nikla nahin

ho gaya ojhal magar ojhal se main nikla nahin

dawat-e-uftad rakkhi chhal se main nikla nahin

nikle bhi kas-bal magar kas-bal se main nikla nahin

dekhte rahna tera mashur chhat par kar gaya

is qadar barish hui jal-thal se main nikla nahin

jaise tu hi to ho meri nind se lipTa hua

jaise tere KHwab ke maKHmal se main nikla nahin

dekhne walon ko shahr-e-KHwab sa dikhta hun main

jaise tere surmai baadal se main nikla nahin

dekh suraj aa gaya sar par mujhe aawaz de

phul sa ab tak teri konpal se main nikla nahin

shab jo aiman rag mein Dubi sahar thi bhairawi

tewari chaDhti rahi komal se main nikla nahin

tera pallu ek jhaTke se gaya go hath se

aanch lipTi hai ki jun aanchal se main nikla nahin

apne markaz ki mahak chaaron taraf bikhrai hai

phaDphaDa kar bhi tere sandal se main nikla nahin

taba ki pechidgi shayad meri pahchan ho

yun na ho ho mustaqil jis bal se main nikla nahin

nam likkha tha mera main ne to apnana hi tha

ek lamhe ke liye bhi pul se main nikla nahin

yun laga jaise kabhi main dahr ka hissa na tha

baat itni hai ki bahar kal se main nikla nahin

hausle jaise Dubo Dale hain is pardes ne

richh nikla naddi se kambal se main nikla nahin

main ne koi aatma an-chahi aane hi na di

kaise kah dun apni hi daldal se main nikla nahin

is ke hote ek shab raushan hua jal par 'nawed'

chal diya wo to kabhi ka jal se main nikla nahin

(1014) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jang Se Jangal Bana Jangal Se Main Nikla Nahin In English By Famous Poet Afzal Naved. Jang Se Jangal Bana Jangal Se Main Nikla Nahin is written by Afzal Naved. Read famous Poem Jang Se Jangal Bana Jangal Se Main Nikla Nahin for youth and Student by Afzal Naved. Free Download Jang Se Jangal Bana Jangal Se Main Nikla Nahin in PDF.