Khaali Hua Gilas Nasha Sar Mein Aa Gaya

KHali hua gilas nasha sar mein aa gaya

dariya utar gaya to samundar mein aa gaya

yakjai ka tilism raha tari TuT kar

wo samne se haT ke barabar mein aa gaya

ja kar jahan pe rakkha tha hona kiya durust

itna sa kaam kar ke main pal bhar mein aa gaya

lekin baDai ka koi ehsas kab raha

chakkar tha duniya-dari ka chakkar mein aa gaya

aa ja ke munhasir raha nigarani par tamam

aksar se ja raha kabhi aksar mein aa gaya

yak gosha-e-wajud mein rakkha qayam kuchh

bahar baDa fasad tha so ghar mein aa gaya

TuTa kahin se aur gira sahn mein mere

sara parinda yun laga is par mein aa gaya

aawaz dunga sath mere aa sako to aao

thoDa jo aur haalat-e-behtar mein aa gaya

duniya ke KHwab dekhte guzra tamam rose

uThte hi KHwab-e-asl se daftar mein aa gaya

jagunga jab sada-e-uluhi sununga kuchh

jaanunga jab parinda sanobar mein aa gaya

shayad nazare ki yahi be-hayyati rahi

manzar se jaane par koi manzar mein aa gaya

hilna paDe na taki kisi ranj par mujhe

sare ka sara main kisi patthar mein aa gaya

KHud ko qayam karne pe targhib dunga main

koi jo ism kal mere mantar mein aa gaya

be-martaba bhi sans ka lena giran na tha

taqdis ka KHayal muqaddar mein aa gaya

bazar mein nigah na dil par paDi teri

nayab jins-e-dahr tha wafar mein aa gaya

sayyargan to apni rawish par the gamzan

lekin 'nawed' tu kahan chakkar mein aa gaya

(1001) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khaali Hua Gilas Nasha Sar Mein Aa Gaya In English By Famous Poet Afzal Naved. Khaali Hua Gilas Nasha Sar Mein Aa Gaya is written by Afzal Naved. Read famous Poem Khaali Hua Gilas Nasha Sar Mein Aa Gaya for youth and Student by Afzal Naved. Free Download Khaali Hua Gilas Nasha Sar Mein Aa Gaya in PDF.