Makan-e-KHwab Mein Jangal Ki Bas Rahne Lagi

makan-e-KHwab mein jangal ki bas rahne lagi

koi na aaya to zinon pe ghas rahne lagi

tere wajud ka jab se libas rahne lagi

liye diye hue mujh se kapas rahne lagi

ye aur baat anokhi si pyas rahne lagi

meri zaban pe us ki miThas rahne lagi

jhalak thi ya koi KHushbu-e-KHadd-o-KHal thi wo

chali gai to mere aas pas rahne lagi

gaya hujum liye baz-did naqsh-e-qadam

hawa-e-rahguzar bad-hawas rahne lagi

zarae jo the mayassar hue ghubar-e-shanaKHt

darun se chashm-e-darun na-shanas rahne lagi

abhi ghubar na utra tha sans ka andar

utarne ki pas-e-zindan bhaDas rahne lagi

utar phenk diya jo tha jism-e-bosida

sitaron ki koi utran libas rahne lagi

zyaada zor lagane se kuchh na ho sakta

so aae rose ki halchal hi ras rahne lagi

lahad ne daman-e-yaKH-basta khol kar rakkha

badan mein garmi-e-KHauf-o-hiras rahne lagi

na jaane andhe kuon ki wo tishnagi thi kya

har ek aankh mein jo be-libas rahne lagi

bigaD jis se ho paida koi bigaD nahin

so moajize ki mere dil ko aas rahne lagi

mughairat se bhari tirgi ke bich 'nawed'

ek andaruni ramaq ru-shanas rahne lagi

(1022) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Makan-e-KHwab Mein Jangal Ki Bas Rahne Lagi In English By Famous Poet Afzal Naved. Makan-e-KHwab Mein Jangal Ki Bas Rahne Lagi is written by Afzal Naved. Read famous Poem Makan-e-KHwab Mein Jangal Ki Bas Rahne Lagi for youth and Student by Afzal Naved. Free Download Makan-e-KHwab Mein Jangal Ki Bas Rahne Lagi in PDF.