Na Rona Rah Gaya Baqi Na Hansna Rah Gaya Baqi

na rona rah gaya baqi na hansna rah gaya baqi

ek apne aap par aawaze kasna rah gaya baqi

hamari KHud-faramoshi ye duniya jaan jaegi

zara sa aur is daldal mein dhansna rah gaya baqi

hawas ke nag ne din raat rakkha apne changul mein

bahut khela hamare tan se Dasna rah gaya baqi

kisi ke pyar ka qissa adhura chhoD aae hum

ulajhna KHud se aur har dam tarasna rah gaya baqi

kisi ko rashk aae kyun na qismat par hamari ab

ujaD aae hain har jaanib se basna rah gaya baqi

kisi ki aankh ne KHwab-e-tahayyur tan rakkha hai

'nawed' us dam-e-yaktai mein phansna rah gaya baqi

(716) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Rona Rah Gaya Baqi Na Hansna Rah Gaya Baqi In English By Famous Poet Afzal Naved. Na Rona Rah Gaya Baqi Na Hansna Rah Gaya Baqi is written by Afzal Naved. Read famous Poem Na Rona Rah Gaya Baqi Na Hansna Rah Gaya Baqi for youth and Student by Afzal Naved. Free Download Na Rona Rah Gaya Baqi Na Hansna Rah Gaya Baqi in PDF.