Rah-e-suluk Mein Bal Dalne Pe Rahta Hai

rah-e-suluk mein bal Dalne pe rahta hai

lahu ka khel KHalal Dalne pe rahta hai

ye dekhta nahin buniyaad mein hain haDDiyan kya

har ek apna mahal Dalne pe rahta hai

muhim pe rose nikalta hai tajir-e-barud

aur ek KHauf-e-ajal Dalne pe rahta hai

aur ek hath milata hai zahr pani mein

aur ek hath kanwal Dalne pe rahta hai

aur ek hath khilata hai shaKH par konpal

aur ek hath masal Dalne pe rahta hai

aur ek hath uThata hai parcham-e-awaz

aur ek hath kuchal Dalne pe rahta hai

aur ek hath baDhata hai irtiqa ka sarup

aur ek hath badal Dalne pe rahta hai

sab ek radd-e-amal ka amal hai aur nahin

jo ek radd-e-amal Dalne pe rahta hai

rujua la-mutazalzal hai jo masail ka

dimagh mein koi hal Dalne pe rahta hai

hum apna radd-o-badal Dal dete hain us mein

wo apna radd-o-badal Dalne pe rahta hai

miyan-e-sabit-o-sayyar irtikaz mera

abad ke bich azal Dalne pe rahta hai

ye subh-o-sham pe phaila hua mera hona

ye mere aaj mein kal Dalne pe rahta hai

har ek rahguzar se guzarta hai suraj

aur ek shua-e-aTal Dalne pe rahta hai

pasand aate nahin sidhe-sadhe log use

wo apne mathe pe bil Dalne pe rahta hai

rawish koi bhi ziyaada use nahin bhati

wo apna aap badal Dalne pe rahta hai

'nawed' tair-e-lahauti ka junun to nahin

jo Dal Dal pe phal Dalne pe rahta hai

(894) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah-e-suluk Mein Bal Dalne Pe Rahta Hai In English By Famous Poet Afzal Naved. Rah-e-suluk Mein Bal Dalne Pe Rahta Hai is written by Afzal Naved. Read famous Poem Rah-e-suluk Mein Bal Dalne Pe Rahta Hai for youth and Student by Afzal Naved. Free Download Rah-e-suluk Mein Bal Dalne Pe Rahta Hai in PDF.