Subu UThaun To Pine Ke Bich Khulti Hai

subu uThaun to pine ke bich khulti hai

koi gali mere sine ke bich khulti hai

tamam raat sitare talash karte hain

wo chandni kisi zine ke bich khulti hai

tu dekhta hai to tashkil pane lagta hun

meri bisat nagine ke bich khulti hai

giraft-e-hosh nahin sahal dast-bardari

girah ye saKHt qarine ke bich khulti hai

kinara-e-mah-o-anjum jahan tilak bhi ho

ye raushni isi jine ke bich khulti hai

na baadban koi aur na rud-o-samt-o-sukun

to kis ki khinch safine ke bich khulti hai

rukun to dekh sakun aasman ki khiDki

jo ek bar mahine ke bich khulti hai

zara sa aur bhi kina ai kina-parwar-e-jaan

meri nazar tere kine ke bich khulti hai

ye kaun chhoD gaya hai maqam-e-asl 'nawed'

ye kis ki bas dafine ke bich khulti hai

(739) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subu UThaun To Pine Ke Bich Khulti Hai In English By Famous Poet Afzal Naved. Subu UThaun To Pine Ke Bich Khulti Hai is written by Afzal Naved. Read famous Poem Subu UThaun To Pine Ke Bich Khulti Hai for youth and Student by Afzal Naved. Free Download Subu UThaun To Pine Ke Bich Khulti Hai in PDF.