Pesh Aane Lage Hain Nafrat Se

pesh aane lage hain nafrat se

bhar gaya un ka dil mohabbat se

faeda ye hai teri qurbat se

KHub kaTta hai waqt rahat se

kaam bante nahin hain nafrat se

kaam chalte hain sab mohabbat se

un ki KHatir mujhe jahan wale

dekhte hain baDi hiqarat se

zindagi meri ek musibat thi

mil gae aap mujh ko qismat se

sari duniya harif hai meri

ek zara si teri inayat se

kya KHabar thi ki waqt paDte hi

hath uTha lenge wo mohabbat se

wo shab-e-wasl bhi to pahlu mein

baz aate nahin shararat se

dil ko chaska paDa hai kuchh aisa

baz aata nahin mohabbat se

kaamrani ke waste 'afzal'

kaam lena paDega himmat se

(686) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pesh Aane Lage Hain Nafrat Se In English By Famous Poet Afzal Peshawari. Pesh Aane Lage Hain Nafrat Se is written by Afzal Peshawari. Read famous Poem Pesh Aane Lage Hain Nafrat Se for youth and Student by Afzal Peshawari. Free Download Pesh Aane Lage Hain Nafrat Se in PDF.