Jaan Dete Hi Bani Ishq Ke Diwane Se

jaan dete hi bani ishq ke diwane se

shama ka haal na dekha gaya parwane se

aatish-e-ishq se jal jal gae parwane se

pahle ye aag lagi kaba o but-KHane se

saqiya girya-e-gham se mujhe majbur samajh

KHun rista hai ye TuTe hue paimane se

raat ki raat chaman mein hai numud-e-shabnam

subh hote hi bikhar jaenge sab dane se

dam-e-aKHir teri aankhon ki balaen le lun

aur dam bhar jo na chhalke mere paimane se

hae kya chiz thin wo mast nigahen 'shair'

jhumta-jhamta nikla hun pari-KHane se

(731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaan Dete Hi Bani Ishq Ke Diwane Se In English By Famous Poet Agha Shayar Qazalbash. Jaan Dete Hi Bani Ishq Ke Diwane Se is written by Agha Shayar Qazalbash. Read famous Poem Jaan Dete Hi Bani Ishq Ke Diwane Se for youth and Student by Agha Shayar Qazalbash. Free Download Jaan Dete Hi Bani Ishq Ke Diwane Se in PDF.