Jabr Ko IKHtiyar Kaun Kare

jabr ko iKHtiyar kaun kare

tum se zalim ko pyar kaun kare

zindagi hai hazar gham ka nam

is samundar ko par kaun kare

aap ka wada aap ka didar

hashr tak intizar kaun kare

apna dil apni jaan ka dushman

ghair ka e'tibar kaun kare

hum jilae gae hain marne ko

is karam ki sahaar kaun kare

aadmi bulbula hai pani ka

zist ka e'tibar kaun kare

(750) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jabr Ko IKHtiyar Kaun Kare In English By Famous Poet Agha Shayar Qazalbash. Jabr Ko IKHtiyar Kaun Kare is written by Agha Shayar Qazalbash. Read famous Poem Jabr Ko IKHtiyar Kaun Kare for youth and Student by Agha Shayar Qazalbash. Free Download Jabr Ko IKHtiyar Kaun Kare in PDF.