Lakh Lakh Ehsan Jis Ne Dard Paida Kar Diya

lakh lakh ehsan jis ne dard paida kar diya

jis ne is dil ko hatheli ka phaphula kar diya

dekhna maghrib ki jaanib ye shafaq ka phulna

Dubte suraj ne sone mein suhaga kar diya

zindagi aur maut mein ek umr se thi kashmakash

waqt par do hichkiyon ne pak jhagDa kar diya

ek sharara sa qarib-e-shama ja kar mil gaya

aatish-e-parwana ne shole ko duna kar diya

bulbul-e-taswir hun ab bolna hai nagawar

teri is hangama aarai ne chupka kar diya

is ko kahte hain lagi parwane jal bujh Dub mar

rote rote shama ne aaKHir sawera kar diya

de diya aankhen laDa kar is pari-paikar ne jam

main nashe mein chur tha hi aur andha kar diya

kya girami hastiyan hain hazrat-e-'usman'-o-'shad'

'shair' in donon ne duniya mein ujala kar diya

(746) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lakh Lakh Ehsan Jis Ne Dard Paida Kar Diya In English By Famous Poet Agha Shayar Qazalbash. Lakh Lakh Ehsan Jis Ne Dard Paida Kar Diya is written by Agha Shayar Qazalbash. Read famous Poem Lakh Lakh Ehsan Jis Ne Dard Paida Kar Diya for youth and Student by Agha Shayar Qazalbash. Free Download Lakh Lakh Ehsan Jis Ne Dard Paida Kar Diya in PDF.