Main KHudi Mein Mubtila KHud Ko MiTane Ke Liye

main KHudi mein mubtila KHud ko miTane ke liye

tu ne to har zarre ko zau di jagmagane ke liye

ek adna se patinge ne bana di jaan par

shama ne koshish to ki thi dil jalane ke liye

barq-e-KHirman sozab rakhna zara chashm-e-karam

chaar tinke phir jaDe hain aashiyane ke liye

munh nahin har ek ka jo saKHti-e-gardun sahe

kuchh kaleja chahiye wo zaKHm khane ke liye

KHub bulbul ko sikhaya nala-e-mastana-war

KHub ghunche ko samajh di muskurane ke liye

is qadar arzan hui hai aaj kal jins-e-kamal

jhuTe sikke Dhal rahe hain har KHazane ke liye

KHwab mein bhi ab nahin 'shair' wo garmi-e-kalam

shama si ek rah gai hai jhilmilane ke liye

(859) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main KHudi Mein Mubtila KHud Ko MiTane Ke Liye In English By Famous Poet Agha Shayar Qazalbash. Main KHudi Mein Mubtila KHud Ko MiTane Ke Liye is written by Agha Shayar Qazalbash. Read famous Poem Main KHudi Mein Mubtila KHud Ko MiTane Ke Liye for youth and Student by Agha Shayar Qazalbash. Free Download Main KHudi Mein Mubtila KHud Ko MiTane Ke Liye in PDF.