Ghar Se Nikalna Jab Meri Taqdir Ho Gaya

ghar se nikalna jab meri taqdir ho gaya

ek shaKHs mere panw ki zanjir ho gaya

ek harf mere nam se diwar-e-shahr par

ye kya hua ki raat mein tahrir ho gaya

main us ko dekhta hi raha us mein Dub kar

wo tha ki mere samne taswir ho gaya

wo KHwab jis pe tira-shabi ka guman tha

wo KHwab aaftab ki tabir ho gaya

main to zaban pe laya nahin tera nam bhi

kyun ishq mera bais-e-tashhir ho gaya

'aghaz' us ne jo bhi kaha mere waste

wo kyun mere kalam ki tafsir ho gaya

(664) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Se Nikalna Jab Meri Taqdir Ho Gaya In English By Famous Poet Aghaz Barni. Ghar Se Nikalna Jab Meri Taqdir Ho Gaya is written by Aghaz Barni. Read famous Poem Ghar Se Nikalna Jab Meri Taqdir Ho Gaya for youth and Student by Aghaz Barni. Free Download Ghar Se Nikalna Jab Meri Taqdir Ho Gaya in PDF.