Hamein Na Dekhiye Hum Gham Ke Mare Jaise Hain

hamein na dekhiye hum gham ke mare jaise hain

ki hum to waise hain us ke ishaare jaise hain

ye wasl, wasl ki mad mein ghalat shumar kiya

ki us ke sath bhi yunhi kinare jaise hain

tilism-e-chashm salamat rahe ki jis ke sabab

kahin hain phul kahin hum sitare jaise hain

wo jaanta hai jabhi dur bhagta hai bahut

wo jaanta hai hum us ko KHasare jaise hain

hum aaj hanste hue kuchh alag dikhai diye

ba-waqt-e-girya hum aise the, sare jaise hain

use kaho ki sitare shumar to na kare

kaho qadam dhare, chhoDe utare jaise hain

ye gham ke phul hain ya sher dekhiye aur bas

hamein pata hai ki hum ne nikhaare jaise hain

(798) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamein Na Dekhiye Hum Gham Ke Mare Jaise Hain In English By Famous Poet Ahmad Ata. Hamein Na Dekhiye Hum Gham Ke Mare Jaise Hain is written by Ahmad Ata. Read famous Poem Hamein Na Dekhiye Hum Gham Ke Mare Jaise Hain for youth and Student by Ahmad Ata. Free Download Hamein Na Dekhiye Hum Gham Ke Mare Jaise Hain in PDF.