Hamari Aankhen Bhi Sahib Ajib Kitni Hain

hamari aankhen bhi sahib ajib kitni hain

ki dil jo roe to kam-baKHt hansne lagti hain

tumhaare shahr se chaliye ki tang-dasti ne

tumhaare shahr ki galiyan bhi tang kar di hain

ye hum hain be-hunaran dekhiye hunar-mandi

jo koi kaam karen hum to poren jalti hain

na is ka wasl mila aur na rozgar yahan

so pahle hijr-zada the aur ab ke hijrati hain

to shah-zadi ko laen wo mahw-e-KHwab hai kya

hamein yaqin nahin pariyan bhi jhuT bolti hain

(898) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamari Aankhen Bhi Sahib Ajib Kitni Hain In English By Famous Poet Ahmad Ata. Hamari Aankhen Bhi Sahib Ajib Kitni Hain is written by Ahmad Ata. Read famous Poem Hamari Aankhen Bhi Sahib Ajib Kitni Hain for youth and Student by Ahmad Ata. Free Download Hamari Aankhen Bhi Sahib Ajib Kitni Hain in PDF.