Wo Zamana Hai Ki Ab Kuchh Nahin Diwane Mein

wo zamana hai ki ab kuchh nahin diwane mein

nam leta hai junun ka kabhi anjaane mein

qismat apni hai ki hum nauhagari karte hue

karen zanjir-zani dil ke aza-KHane mein

kya hue log purane jinhen dekha bhi nahin

ai zamane hamein taKHir hui aane mein

in shikasta dar-o-diwar ki surat hum bhi

bahut aaseb-zada honge nazar aane mein

apne aabai makanon se palaTte hue hum

kitne nazan hain koi din rahe virane mein

hum to kuchh aur tarah hote the barbaad 'ata'

ab to kuchh aur se haalat hain mai-KHane mein

(802) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Zamana Hai Ki Ab Kuchh Nahin Diwane Mein In English By Famous Poet Ahmad Ata. Wo Zamana Hai Ki Ab Kuchh Nahin Diwane Mein is written by Ahmad Ata. Read famous Poem Wo Zamana Hai Ki Ab Kuchh Nahin Diwane Mein for youth and Student by Ahmad Ata. Free Download Wo Zamana Hai Ki Ab Kuchh Nahin Diwane Mein in PDF.