Yahan Likhna Mana Hai

pakiza Thahrai jaane wali

diwaron par likkha hai

yahan likhna mana hai

wahin likh dete hain log

be-sharmi se galiyan

ba-huda nare

farsuda mazhabi ahkaamat

main likh dun wahan

wo lafz

jo mere andar mar rahe hain

par likh nahin sakta

diwaren rokti hain mujhe

rokti hain

mere andar

diwaron ko girne se

ek jeneral kahta hai

ya awam ka numainda kahta hai

chup raho

giDgiDate hue bolo

main likh dun

meri man ko meri mahbuba hona chahiye tha

aur mere bap ko

meri aankhon se dur

likh dun

saffak sabab

apne dil mein daraD paDne ka

jo ek din aap hi aap

khanDar mein badal jaega

main likh dun

wo sab

jo yahan likhna mana hai!

(798) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yahan Likhna Mana Hai In English By Famous Poet Ahmad Azad. Yahan Likhna Mana Hai is written by Ahmad Azad. Read famous Poem Yahan Likhna Mana Hai for youth and Student by Ahmad Azad. Free Download Yahan Likhna Mana Hai in PDF.