Main To Soya Bhi Na Tha Kyun Ye Dar-e-KHwab Gira

main to soya bhi na tha kyun ye dar-e-KHwab gira

meri aaghosh mein bujhta hua mahtab gira

phir samundar ki taraf lauT chali mauj-ba-mauj

phir koi tishna-dahan aa ke sar-e-ab gira

aks mismar na kar dida-e-hairan ke sarishk

mere KHwabon ke dar-o-baam na sailab gira

DhunD sipi ki tarah dil ko na sahil ke qarib

ye sadaf dur bahut dur tah-e-ab gira

aahan o sang ko zahrab-e-fana chaT gaya

pahle diwar shikasta hui phir bab gira

(773) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main To Soya Bhi Na Tha Kyun Ye Dar-e-KHwab Gira In English By Famous Poet Ahmad Azeem. Main To Soya Bhi Na Tha Kyun Ye Dar-e-KHwab Gira is written by Ahmad Azeem. Read famous Poem Main To Soya Bhi Na Tha Kyun Ye Dar-e-KHwab Gira for youth and Student by Ahmad Azeem. Free Download Main To Soya Bhi Na Tha Kyun Ye Dar-e-KHwab Gira in PDF.