Chaaragaron Ne Bandh Diya Mujhko BaKHt Se

chaaragaron ne bandh diya mujh ko baKHt se

chhanw mili na mujh ko dua ke daraKHt se

baiTha tha main hisar-e-falak mein zamin par

dushman ne fath khinch li meri shikast se

main bhi to tha farefta KHud apne-ap par

shikwa karun main kya dil-e-nargis-parast se

girya ki saltanat mujhe degi shikast kya

chhini hai main ne zindagi pani ke taKHt se

harf-e-dua pe gosh-bar-awaz ho wo kyun

dil se kalam hota hai maston ke mast se

hamd-o-sana suKHan ka nahin dil ka hai riyaz

kaise sana karun main dil-e-laKHt-laKHt se

ahl-e-KHirad ise na samajh paenge 'faqih'

kuchh masale hain mawara fath o shikast se

(715) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaaragaron Ne Bandh Diya Mujhko BaKHt Se In English By Famous Poet Ahmad Faqih. Chaaragaron Ne Bandh Diya Mujhko BaKHt Se is written by Ahmad Faqih. Read famous Poem Chaaragaron Ne Bandh Diya Mujhko BaKHt Se for youth and Student by Ahmad Faqih. Free Download Chaaragaron Ne Bandh Diya Mujhko BaKHt Se in PDF.