Main Kya Hun Mujhe Tumne Jo Aazar Pe Khincha

main kya hun mujhe tum ne jo aazar pe khincha

duniya ne masihaon ko bhi dar pe khincha

zindon ka to maskan bhi yahan qabr-numa hai

murdon ko magar darja-e-autar pe khincha

wo jata raha aur main kuchh bol na paya

chiDiyon ne magar shor sa diwar pe khincha

kuchh bhi na bacha shahr mein juz rone ki rut ke

har shoala-e-awaz ko malhaar pe khincha

yusuf kabhi nilam hua karta tha lekin

yusuf ko bhi is shahr ne hai dar pe khincha

phuTe hain mere dil mein phir inkar ke sote

phir dil ne mujhe haalat-e-dushwar pe khincha

har shai ki haqiqat mein utar jaen ab aankhen

zulmat ne mujhe dida-e-bedar pe khincha

dukh aalam-e-insan ke the jo wo chhupae

KHat chand ko sar karne ka aKHbar pe khincha

tum ne to 'faqih' apni ana kas ke mujhe bhi

paikan ki tarah haalat-e-paikar pe khincha

(662) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Kya Hun Mujhe Tumne Jo Aazar Pe Khincha In English By Famous Poet Ahmad Faqih. Main Kya Hun Mujhe Tumne Jo Aazar Pe Khincha is written by Ahmad Faqih. Read famous Poem Main Kya Hun Mujhe Tumne Jo Aazar Pe Khincha for youth and Student by Ahmad Faqih. Free Download Main Kya Hun Mujhe Tumne Jo Aazar Pe Khincha in PDF.