Sadiyon Ke Andhere Mein Utara Kare Koi

sadiyon ke andhere mein utara kare koi

suraj ko kisi roz hamara kare koi

ek KHauf sa bas ghumta rahta hai saron mein

duniya ka mere ghar se nazara kare koi

rangon ka tasawwur bhi uDa aankh se ab to

is shahr mein ab kaise guzara kare koi

yun dard ne ummid ke laD se mujhe bandha

dariyaon ko jis tarah kinara kare koi

indhan se hua jin ke safar chand ka mumkin

un ke bhi to chulhe ko sanwara kare koi

raaton ki hukumat mein mere KHwab ka tara

jine ke liye jaise ishaara kare koi

ye aaj bhi apna hai 'faqih' is ka bhi socho

kis tak yunhi yaadon ko sahaara kare koi

(680) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sadiyon Ke Andhere Mein Utara Kare Koi In English By Famous Poet Ahmad Faqih. Sadiyon Ke Andhere Mein Utara Kare Koi is written by Ahmad Faqih. Read famous Poem Sadiyon Ke Andhere Mein Utara Kare Koi for youth and Student by Ahmad Faqih. Free Download Sadiyon Ke Andhere Mein Utara Kare Koi in PDF.