Waqt Ke Har Ek Naqsh Ka Mani Itna Badla Badla Hoga

waqt ke har ek naqsh ka mani itna badla badla hoga

mere wahm-o-guman mein kab tha ishq ka manzar aisa hoga

aaj mujhe apni aankhon se us ke qurb ki KHushbu aai

meri nazar se us ne shayad apne-ap ko dekha hoga

lams ke is kore talab mein chand ka pahla aks tumhi ho

kaise nur-jahani sur mein kis kis se wo kahta hoga

subh sunahri kyun hai itni sham mein itni lali kyun hai

waqt ne shayad teri aankh ki shabnam se munh dhoya hoga

aaj main aaine mein apni surat tak pahchan na paya

soch raha hun mujh se ziyaada kaun is shahr mein tanha hoga

chhoD 'faqih' ye honi ka sur anhoni ki tan lagao

honi mein hai koi hunar kya honi ko to hona hoga

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Ke Har Ek Naqsh Ka Mani Itna Badla Badla Hoga In English By Famous Poet Ahmad Faqih. Waqt Ke Har Ek Naqsh Ka Mani Itna Badla Badla Hoga is written by Ahmad Faqih. Read famous Poem Waqt Ke Har Ek Naqsh Ka Mani Itna Badla Badla Hoga for youth and Student by Ahmad Faqih. Free Download Waqt Ke Har Ek Naqsh Ka Mani Itna Badla Badla Hoga in PDF.