Ab Kya Sochen Kya Haalat The Kis Karan Ye Zahr Piya Hai

ab kya sochen kya haalat the kis karan ye zahr piya hai

hum ne us ke shahr ko chhoDa aur aankhon ko mund liya hai

apna ye shewa to nahin tha apne gham auron ko saunpen

KHud to jagte ya sote hain us ko kyun be-KHwab kiya hai

KHilqat ke aawaze bhi the band us ke darwaze bhi the

phir bhi us kuche se guzre phir bhi us ka nam liya hai

hijr ki rut jaan-lewa thi par ghalat sabhi andaze nikle

taza rifaqat ke mausam tak main bhi jiya hun wo bhi jiya hai

ek 'faraaz' tumhin tanha ho jo ab tak dukh ke rasiya ho

warna aksar dil walon ne dard ka rasta chhoD diya hai

(2219) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Kya Sochen Kya Haalat The Kis Karan Ye Zahr Piya Hai In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Ab Kya Sochen Kya Haalat The Kis Karan Ye Zahr Piya Hai is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Ab Kya Sochen Kya Haalat The Kis Karan Ye Zahr Piya Hai for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Ab Kya Sochen Kya Haalat The Kis Karan Ye Zahr Piya Hai in PDF.