Ab Shauq Se Ki Jaan Se Guzar Jaana Chahiye

ab shauq se ki jaan se guzar jaana chahiye

bol ai hawa-e-shahr kidhar jaana chahiye

kab tak isi ko aaKHiri manzil kahenge hum

ku-e-murad se bhi udhar jaana chahiye

wo waqt aa gaya hai ki sahil ko chhoD kar

gahre samundaron mein utar jaana chahiye

ab raftagan ki baat nahin karwan ki hai

jis samt bhi ho gard-e-safar jaana chahiye

kuchh to subut-e-KHun-e-tamanna kahin mile

hai dil tahi to aankh ko bhar jaana chahiye

ya apni KHwahishon ko muqaddas na jaante

ya KHwahishon ke sath hi mar jaana chahiye

(2106) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Shauq Se Ki Jaan Se Guzar Jaana Chahiye In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Ab Shauq Se Ki Jaan Se Guzar Jaana Chahiye is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Ab Shauq Se Ki Jaan Se Guzar Jaana Chahiye for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Ab Shauq Se Ki Jaan Se Guzar Jaana Chahiye in PDF.