Abhi Kuchh Aur Karishme Ghazal Ke Dekhte Hain

abhi kuchh aur karishme ghazal ke dekhte hain

'faraaz' ab zara lahja badal ke dekhte hain

judaiyan to muqaddar hain phir bhi jaan-e-safar

kuchh aur dur zara sath chal ke dekhte hain

rah-e-wafa mein harif-e-KHiram koi to ho

so apne aap se aage nikal ke dekhte hain

tu samne hai to phir kyun yaqin nahin aata

ye bar bar jo aankhon ko mal ke dekhte hain

ye kaun log hain maujud teri mahfil mein

jo lalachon se tujhe mujh ko jal ke dekhte hain

ye qurb kya hai ki yak-jaan hue na dur rahe

hazar ek hi qalib mein Dhal ke dekhte hain

na tujh ko mat hui hai na mujh ko mat hui

so ab ke donon hi chaalen badal ke dekhte hain

ye kaun hai sar-e-sahil ki Dubne wale

samundaron ki tahon se uchhal ke dekhte hain

abhi talak to na kundan hue na rakh hue

hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain

bahut dinon se nahin hai kuchh us ki KHair KHabar

chalo 'faraaz' ku-e-yar chal ke dekhte hain

(2974) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Kuchh Aur Karishme Ghazal Ke Dekhte Hain In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Abhi Kuchh Aur Karishme Ghazal Ke Dekhte Hain is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Abhi Kuchh Aur Karishme Ghazal Ke Dekhte Hain for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Abhi Kuchh Aur Karishme Ghazal Ke Dekhte Hain in PDF.