Ajab Junun-e-masafat Mein Ghar Se Nikla Tha

ajab junun-e-masafat mein ghar se nikla tha

KHabar nahin hai ki suraj kidhar se nikla tha

ye kaun phir se unhin raston mein chhoD gaya

abhi abhi to azab-e-safar se nikla tha

ye tir dil mein magar be-sabab nahin utra

koi to harf lab-e-chaaragar se nikla tha

ye ab jo aag bana shahr shahr phaila hai

yahi dhuan mere diwar-o-dar se nikla tha

main raat TuT ke roya to chain se soya

ki dil ka zahr meri chashm-e-tar se nikla tha

ye ab jo sar hain KHamida kulah ki KHatir

ye aib bhi to hum ahl-e-hunar se nikla tha

wo qais ab jise majnun pukarte hain 'faraaz'

teri tarah koi diwana ghar se nikla tha

(3682) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab Junun-e-masafat Mein Ghar Se Nikla Tha In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Ajab Junun-e-masafat Mein Ghar Se Nikla Tha is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Ajab Junun-e-masafat Mein Ghar Se Nikla Tha for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Ajab Junun-e-masafat Mein Ghar Se Nikla Tha in PDF.