Awwal Awwal Ki Dosti Hai Abhi

awwal awwal ki dosti hai abhi

ek ghazal hai ki ho rahi hai abhi

main bhi shahr-e-wafa mein nau-warid

wo bhi ruk ruk ke chal rahi hai abhi

main bhi aisa kahan ka zud-shanas

wo bhi lagta hai sochti hai abhi

dil ki waraftagi hai apni jagah

phir bhi kuchh ehtiyat si hai abhi

garche pahla sa ijtinab nahin

phir bhi kam kam supurdagi hai abhi

kaisa mausam hai kuchh nahin khulta

bunda-bandi bhi dhup bhi hai abhi

KHud-kalami mein kab ye nashsha tha

jis tarah ru-ba-ru koi hai abhi

qurbaten lakh KHub-surat hon

duriyon mein bhi dilkashi hai abhi

fasl-e-gul mein bahaar pahla gulab

kis ki zulfon mein Tankti hai abhi

muddaten ho gain 'faraaz' magar

wo jo diwangi ki thi hai abhi

(3538) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Awwal Awwal Ki Dosti Hai Abhi In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Awwal Awwal Ki Dosti Hai Abhi is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Awwal Awwal Ki Dosti Hai Abhi for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Awwal Awwal Ki Dosti Hai Abhi in PDF.