Dil Badan Ka Sharik-e-haal Kahan

dil badan ka sharik-e-haal kahan

hijr phir hijr hai visal kahan

ishq hai nam intihaon ka

is samundar mein e'tidal kahan

aisa nashsha to zahr mein bhi na tha

ai gham-e-dil teri misal kahan

hum ko bhi apni paemali ka

hai magar is qadar malal kahan

main nai dosti ke moD pe tha

aa gaya hai tera KHayal kahan

dil ki KHush-fahm tha so hai warna

tere milne ka ehtimal kahan

wasl o hijran hain aur duniyaen

in zamanon mein mah-o-sal kahan

tujh ko dekha to log hairan hain

aa gaya shahr mein ghazal kahan

tujh pe likkhi to saj gai hai ghazal

aa mila KHwab se KHayal kahan

ab to shah mat ho rahi hai 'faraaz'

ab bachaw ki koi chaal kahan

(1634) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Badan Ka Sharik-e-haal Kahan In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Dil Badan Ka Sharik-e-haal Kahan is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Dil Badan Ka Sharik-e-haal Kahan for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Dil Badan Ka Sharik-e-haal Kahan in PDF.