Chale The Yar BaDe Zoam Mein Hawa Ki Tarah

chale the yar baDe zoam mein hawa ki tarah

palaT ke dekha to baiThe hain naqsh-e-pa ki tarah

mujhe wafa ki talab hai magar har ek se nahin

koi mile magar us yar-e-bewafa ki tarah

mere wajud ka sahra hai muntazir kab se

kabhi to aa jaras-e-ghuncha ki sada ki tarah

wo ajnabi tha to kyun mujh se pher kar aankhen

guzar gaya kisi derina aashna ki tarah

kashan kashan liye jati hai jaanib-e-manzil

nafas ki Dor bhi zanjir-e-be-sada ki tarah

'faraaz' kis ke sitam ka gila karen kis se

ki be-niyaz hui KHalq bhi KHuda ki tarah

(2030) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chale The Yar BaDe Zoam Mein Hawa Ki Tarah In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Chale The Yar BaDe Zoam Mein Hawa Ki Tarah is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Chale The Yar BaDe Zoam Mein Hawa Ki Tarah for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Chale The Yar BaDe Zoam Mein Hawa Ki Tarah in PDF.