Chal Nikalti Hain Gham-e-yar Se Baaten Kya Kya

chal nikalti hain gham-e-yar se baaten kya kya

hum ne bhi kin dar-o-diwar se baaten kya kya

baat ban aai hai phir se ki mere bare mein

us ne puchhin mere gham-KHwar se baaten kya kya

log lab-basta agar hon to nikal aati hain

chup ke pairaya-e-izhaar se baaten kya kya

kisi saudai ka qissa kisi harjai ki baat

log le aate hain bazar se baaten kya kya

hum ne bhi dast-shanasi ke bahane ki hain

hath mein hath liye pyar se baaten kya kya

kis ko bikna tha magar KHush hain ki is hile se

ho gain apne KHaridar se baaten kya kya

hum hain KHamosh ki majbur-e-mohabbat the 'faraaz'

warna mansub hain sarkar se baaten kya kya

(2116) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chal Nikalti Hain Gham-e-yar Se Baaten Kya Kya In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Chal Nikalti Hain Gham-e-yar Se Baaten Kya Kya is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Chal Nikalti Hain Gham-e-yar Se Baaten Kya Kya for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Chal Nikalti Hain Gham-e-yar Se Baaten Kya Kya in PDF.