Ghurur-e-jaan Ko Mere Yar Bech Dete Hain

ghurur-e-jaan ko mere yar bech dete hain

qaba ki hirs mein dastar bech dete hain

ye log kya hain ki do-chaar KHwahishon ke liye

tamam umr ka pindar bech dete hain

junun-e-zinat-e-araish-e-makan ke liye

kai makin dar-o-diwar bech dete hain

zara bhi nirKH ho baala to tajiran-e-haram

galim o jubba o dastar bech dete hain

bas itna farq hai yusuf mein aur mujh mein 'faraaz'

ki us ko ghair mujhe yar bech dete hain

(2899) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghurur-e-jaan Ko Mere Yar Bech Dete Hain In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Ghurur-e-jaan Ko Mere Yar Bech Dete Hain is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Ghurur-e-jaan Ko Mere Yar Bech Dete Hain for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Ghurur-e-jaan Ko Mere Yar Bech Dete Hain in PDF.