Gila Fuzul Tha Ahd-e-wafa Ke Hote Hue

gila fuzul tha ahd-e-wafa ke hote hue

so chup raha sitam-e-na-rawa ke hote hue

ye qurbaton mein ajab fasle paDe ki mujhe

hai aashna ki talab aashna ke hote hue

wo hila-gar hain jo majburiyan shumar karen

charagh hum ne jalae hawa ke hote hue

na chahne pe bhi tujh ko KHuda se mang liya

ye haal hai dil-e-be-muddaa ke hote hue

na kar kisi pe bharosa ki kashtiyan Duben

KHuda ke hote hue naKHuda ke hote hue

magar ye ahl-e-riya kis qadar barahna hain

galim o dalq o aba o qaba ke hote hue

kise KHabar hai ki kasa-ba-dast phirte hain

bahut se log saron par huma ke hote hue

'faraaz' aise bhi lamhe kabhi kabhi aae

ki dil-girafta rahe dilruba ke hote hue

(4436) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gila Fuzul Tha Ahd-e-wafa Ke Hote Hue In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Gila Fuzul Tha Ahd-e-wafa Ke Hote Hue is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Gila Fuzul Tha Ahd-e-wafa Ke Hote Hue for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Gila Fuzul Tha Ahd-e-wafa Ke Hote Hue in PDF.