Har Ek Baat Na Kyun Zahr Si Hamari Lage

har ek baat na kyun zahr si hamari lage

ki hum ko dast-e-zamana se zaKHm kari lage

udasiyan hon musalsal to dil nahin rota

kabhi kabhi ho to ye kaifiyat bhi pyari lage

ba-zahir ek hi shab hai firaq-e-yar magar

koi guzarne baiThe to umr sari lage

ilaj is dil-e-dard-ashna ka kya kije

ki tir ban ke jise harf-e-gham-gusari lage

hamare pas bhi baiTho bas itna chahte hain

hamare sath tabiat agar tumhaari lage

'faraaz' tere junun ka KHayal hai warna

ye kya zarur wo surat sabhi ko pyari lage

(1995) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Baat Na Kyun Zahr Si Hamari Lage In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Har Ek Baat Na Kyun Zahr Si Hamari Lage is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Har Ek Baat Na Kyun Zahr Si Hamari Lage for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Har Ek Baat Na Kyun Zahr Si Hamari Lage in PDF.