Har Aashna Mein Kahan KHu-e-mehrmana Wo

har aashna mein kahan KHu-e-mehrmana wo

ki bewafa tha magar dost tha purana wo

pukarte hain mah-o-sal manzilon ki tarah

laga hai tausn-e-hasti ko taziyana wo

hamein bhi gham-talabi ka nahin raha yara

tere bhi rang nahin gardish-e-zamana wo

ab apni KHwahishen kya kya use rulati hain

ye baat hum ne kahi thi magar na mana wo

yahi kahenge ki bas surat-ashnai thi

jo ahd TuT chuka yaad kya dilana wo

is ek shakl mein kya kya na suraten dekhin

nigar tha nazar aaya nigar-KHana wo

bujha diya hai tujhe bhi 'faraaz' duniya ne

kahan gaya tera har waqt muskurana wo

(1897) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Aashna Mein Kahan KHu-e-mehrmana Wo In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Har Aashna Mein Kahan KHu-e-mehrmana Wo is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Har Aashna Mein Kahan KHu-e-mehrmana Wo for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Har Aashna Mein Kahan KHu-e-mehrmana Wo in PDF.