Hawa Ke Zor Se Pindar-e-baam-o-dar Bhi Gaya

hawa ke zor se pindar-e-baam-o-dar bhi gaya

charagh ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya

pukarte rahe mahfuz kashtiyon wale

main Dubta hua dariya ke par utar bhi gaya

ab ehtiyat ki diwar kya uThate ho

jo chor dil mein chhupa tha wo kaam kar bhi gaya

main chup raha ki isi mein thi aafiyat jaan ki

koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya

sulagte sochte viran mausamon ki tarah

kaDa tha ahd-e-jawani magar guzar bhi gaya

jise bhula na saka us ko yaad kya rakhta

jo nam lab pe raha zehn se utar bhi gaya

phaTi phaTi hui aankhon se yun na dekh mujhe

tujhe talash hai jis shaKHs ki wo mar bhi gaya

magar falak ko adawat usi ke ghar se thi

jahan 'faraaz' na tha sail-e-gham udhar bhi gaya

(2340) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa Ke Zor Se Pindar-e-baam-o-dar Bhi Gaya In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Hawa Ke Zor Se Pindar-e-baam-o-dar Bhi Gaya is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Hawa Ke Zor Se Pindar-e-baam-o-dar Bhi Gaya for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Hawa Ke Zor Se Pindar-e-baam-o-dar Bhi Gaya in PDF.